Thursday, 1 June 2017

Shri Krishna ka Radha rani se byakulta me milan

Ek din shri dham vrindavan me sabhi sakhaon ke sath khel rahe the tabhi achanak unhe shri priya ju ki achanak yad a gayi aur unki yad me itne byakul ho gaye ki ye hi bhan na raha ki ham kya khel rahe hai kyonki un dino priyaju apne BaBa ghar shri dham Barshana gayi hui thi, Itna dekh kar ek sakha sridama bola are kanhia too aaj itna udas kyon hai tab badi anakani ke bad shri krishna ne kahaa ki are bhaiya moye to aaj shriji ki yad a rahi hai . tab sakhaon ne kaha are bhaiya chinta ki koi bat nahi hai ek upay he , kanhiya bole konsa upay sakhaon ne kaha - kanhiya hum sab apko barasane le chale to , shri krishna bole bo kaise - Sakhaon ne kahaa ki me tumhe palki me bithake shri je mahal tak pahucha dunga. tab shri krishna ki kuch byakulta kam hui. or bo taiyar ho gaye jane ke liye.
   Sakhaon ne kanhiya ko sari pahinayi, lahanga pahinaya, choli pahinai,  bindi lagai, sindur lagaya, chandan ka lep bachsthal par kiya, lali lagai aur----------------------------------  Is prakar sakhaon ne kanhiya ka 16 SRANGAR kiya or  palki me bithake Barsane ki or chal diya--------Barsane me prabesh karte hi ---------jai se hi shri -shri Thakur ji ne Shri ji ka nij mahal dekha to dang rah gaye 
 our dekhte hi dekhte shri Thakur ji ke Ankho me Anshuon ke panare chal pade ---------Ab to bo itna Byakul ho gaye ki thakur ji ka pura srangar pasina se bah gaya or to or thakur ji jo ghungat bandhe the bo v niche gir gaya -ye- sari ghatna shri lalitaji dekh rahi thi tabhi lalitaji ne aur anya sakhiyo ne sath milakar thakurji ka ghunghat uthaya par shri manji ne ghoonghat ko ese kas kar pakad liya ki koi unke ghoonghat ko hataa hi nahi paya. tab to sabhi  sakhiya thak gayi . bahi palki lekar aye shri krishna ke sakhayo ne kahaa ki are gopiyo ye nayi bahu hai jo kebal aur kebal shriji ko hi apna mooh dikhayegi aur kisi ko nahi. iske bad bah palki ko shriji ke kasha me pahunchaya gaya.   jaise hi shriji ne parda hatakar shri krishna ka darshan kiya kishoriji ne kahaa are shrimanji esee lila kab tak karte rahoge  ab to esa koi upay batayo jisse apka aur hamara nitya prati milan ho. thakurji ne kaha he priyaju aap hi batayo kya karna chahiye.
  tab shriji ne thakurji  se kaha ki yadi aap chahte ho ki apka aur hamara nitya milan ho to dekho brij me gopiyo ne apko patee ke roop me prapti ke liye kartik maas ka  vrit kiya hai aur apne unhe sarad purnima ki ratri ko amantrit  kiya hai usi din se apka aur hamari bhi malan hoga.

Tkakurji shrikrishna dwara bhojan ke liye amantrit

Ek din sandhya ki vela me  shri ji apnie nij mahal ki atario par ast sakhio ke sath baithi hui apas me hass parihash kar rahi thi tabhi kishoriju ko shri krishna se milane ki tibra Ichcha hui tabhi shri krishna se milane ke liye shriji wahaa se sakhio ke sath mee neeche nij mahal se ati hai tabhi shri krishna bahaan a jate he aur shriji - thakur ka milan ho jata hai tab shriji thakur shri shyam sundar se kahti hai he pyare app ke bat bataye ki app ki yad me mai astyam khoi hui rahati hai kya app bhi mujhase tanik pyar karate hai ya nahi or yadi karate he to kitna karate he. Tab shri krishna ne kishoriju se kahaa ki mai apse "" Namk ke barabar prem karata hu"" ye bat shriji ko achchi nahi lagi aur shriji maan karke bahaa se chali gayi aur sochane lagi ki batao mai inke prem me pagal ho gayi hu aur bo kahate hai ki mai apse namak jitna prem karta hu.shriji ke man me yahi bat bar-bar yahi arahi thi. tabhi
        dusre din shri thakur shri krishna ne sabhi gwalon aur sabhi gop, sakhaon se kahaa ki mai  ap sabhi ko ajke dopahar ke bhojan me amantrit karatahu our han aap sabhi aaj jo bhojan banakar lekar aoge usme namak nahi dalna, bina namak ke hi lana .
   jab ye bat sabhi ne suna to sabhi ne kahaa ki bina namak ma bhojan kyo magaya par jo bhi ho banato he hi kyonki hamare shyam sundar jo kahege bahi hoga.
  Dopahar me  gopi-gwal mandali , sakhan-sakhio sahit sabhi bhojan lekar upasthit hue kisi ne halu pudi to kisi ne bajhiya dahi bada is prakar bhatni-bhanti ke 56 prakar ke vyangano ko sajakar laye our shakiyon ke bich shriji bhi padhari he . tabhi thakurji ne bhojan ko sabhi me bitrit karke bhojan suroo kiya to sabh kahane lage are kanhiya ye bhojan me to swad hi nahi a raha kyonki isme ""Ram Rass nahi hai"" or hua kya ki sabhi ne bhojan chodkar chalne lage tabhi shriji ko ye bat samajh me a gayi ki yadi bhojan me ram rass na hone se poore bhojan ka swad chala jata hai .
ebam man hi man bichar karane lagi ye sabh meri tai hua kyonki kal mujhse shri krishana ne kaha tha ki mai apse namak ke barabar prem karata hu or shriji ke Ankho me ansu a gaye shochne lagi  ki maine  shri krishna se galat poocha or uske bare me galat arth lagaya .
  or Shriji thakurji se milane ke liye itni Bykul hui ki shri krishna bahi par agaye or kahane lage are priye kya hua . shriji thakur ji se lipatkar bahut bilap karane lagi .



    Dosto bina soche bina samajhe esa kadam nahi uthana chahiye.

ABOUT OF LORD SHRI RADHA-KRISHNA

Shri Gourav krishnji ke Madhur Swar

shri kishori-Madhav