Thursday, 8 June 2017

Shri thakur ji aur radha rani ka ka jhula mahotsav

                   
                --------
                        Srawan mas ka mahina thaa apranha aur sandhya ki vela me  badlon ki gadgadahat, bijli ki chamak, aasman me kali ghataye chchai hui he, pakchchi karalap kar rahe hai aur mayur nritya kar rahe isi samay Shri syama shyam  shri nivrat nikunj me jhoole par baithe the, jisme ek taraf kishoriju hai or dusri taraf  lalita sakhi hai aur asta sakhiyan thakur shri shyama-shyam ko sawan ke geet gakar jhula jhulaa rahi thi shri priya-preetam ko.
                      tabhi shri ji ki nahar shri ast sakhiyo par gayi aur un par karuna aa gayi kyonki bo to karuna ban hai or bo sochti he jhula jhulate samay kisi ko ye na lage ki shyam sundar kewal hamse hi pyar karte ho. is karan se kahi esa na ho jaye jisse sakhiya udas na ho. isliye shiji ne sabhi sakhiyon ko bari-bari se daye-banye karke do-do sakhiyon ko bithaya our sakhion ko swayam jhula jhulati ja rahi hai. ye drishya dekhkar shri thakurji sriji ke prati bhab vihore gaye aur kahane lage dhanya kishori ju ap to karuna ki khan ho jo  aap sabpe karuna karke sabko sukh pahuncha rahi hai.
   AAj to priya-preetamju ese lag rahe hai jaise badlon ke beech me bijli chamak rahi ho.
                       or  theek baisa hi prateet bhi ho raha hai kyonki usi samay dhimi-2 barish bhi ho rahi hai aasma me kali ghatayen bhi isi beech thakur-thakurani chamakti hui bijli si prateet ho rahi hai.
      is prakar priya-kantju ka ye jhula mahotsav pure srawan mass tak chalata rahta hai.
  ttha

No comments:

Post a Comment

ABOUT OF LORD SHRI RADHA-KRISHNA

Shri Gourav krishnji ke Madhur Swar

shri kishori-Madhav